Qatl Chhupte The Kabhi Sang Ki Diwar Ke Beach
qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke beach
ab to khulne lage maqtal bhare bazar ke beach
apni poshak ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salamat nahin rahte yahan dastar ke beach
surKHiyan amn ki talqin mein masruf rahin
harf barud ugalte rahe aKHbar ke beach
kash is KHwab ki tabir ki mohlat na mile
shoale ugte nazar aae mujhe gulzar ke beach
Dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
sar-kashida mera saya saf-e-ashjar ke beach
rizq malbus makan sans maraz qarz dawa
munqasim ho gaya insan inhi afkar ke beach
dekhe jate na the aansu mere jis se 'mohsin'
aaj hanste hue dekha use aghyar ke beach
(2612) Peoples Rate This