Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d49f83fd5819bc35636d9a9c533de165, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Wahi Main Hun Wahi Shahr-badar SannaTa - Mohsin Naqvi Poetry In English - Darsaal

Phir Wahi Main Hun Wahi Shahr-badar SannaTa

phir wahi main hun wahi shahr-badar sannaTa

mujh ko Das le na kahin KHak-basar sannaTa

dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sahar karne ko

hijr walon ne liya raKHt-e-safar sannaTa

kis se puchhun ki kahan hai mera rone wala

is taraf main hun mere ghar se udhar sannaTa

tu sadaon ke bhanwar mein mujhe aawaz to de

tujh ko dega mere hone ki KHabar sannaTa

us ko hangama-e-manzil ki KHabar kya doge

jis ne paya ho sar-e-rahguzar sannaTa

hasil-e-kunj-e-qafas wahm-ba-kaf tanhai

raunaq-e-sham-e-safar ta-ba-sahar sannaTa

qsimat-e-shair-e-simab-sifat dasht ki maut

qimat-e-reza-e-almas-e-hunar sannaTa

jaan-e-'mohsin' meri taqdir mein kab likkha hai

Dubta chand tera qurb-e-gajar sannaTa

(3357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wahi Main Hun Wahi Shahr-badar SannaTa In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Phir Wahi Main Hun Wahi Shahr-badar SannaTa is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Phir Wahi Main Hun Wahi Shahr-badar SannaTa for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Phir Wahi Main Hun Wahi Shahr-badar SannaTa in PDF.