Marka Ab Ke Hua Bhi To Phir Aisa Hoga
marka ab ke hua bhi to phir aisa hoga
tere dariya pe meri pyas ka pahra hoga
us ki aankhen tere chehre pe bahut bolti hain
us ne palkon se tera jism tarasha hoga
kitne jugnu isi KHwahish mein mere sath chale
koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga
main bhi apne ko bhulae hue phirta hun bahut
aaina us ne bhi kuchh roz na dekha hoga
raat jal-thal meri aankhon mein utar aaya tha
surat-e-abr koi TuT ke barsa hoga
ye masihai use bhul gai hai 'mohsin'
ya phir aisa hai mera zaKHm hi gahra hoga
(2489) Peoples Rate This