Labon Pe Harf-e-rajaz Hai Zirah Utar Ke Bhi
labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi
main jashn-e-fath manata hun jang haar ke bhi
use lubha na saka mere baad ka mausam
bahut udas laga KHal-o-KHad sanwar ke bhi
ab ek pal ka taghaful bhi sah nahin sakte
hum ahl-e-dil kabhi aadi the intizar ke bhi
wo lamha bhar ki kahani ki umr bhar mein kahi
abhi to KHud se taqaze the iKHtisar ke bhi
zamin oDh li hum ne pahunch ke manzil par
ki hum pe qarz the kuchh gard-e-rahguzar ke bhi
mujhe na sun mere be-shakl ab dikhai to de
main thak gaya hun faza mein tujhe pukar ke bhi
meri dua ko palaTna tha phir udhar 'mohsin'
bahut ujaD the manzar ufuq se par ke bhi
(2246) Peoples Rate This