Kis Ne Sang-e-KHamoshi Phenka Bhare-bazar Par
kis ne sang-e-KHamoshi phenka bhare-bazar par
ek sukut-e-marg tari hai dar-o-diwar par
tu ne apni zulf ke sae mein afsane kahe
mujh ko zanjiren mili hain jurat-e-izhaar par
shaKH-e-uriyan par khila ek phul is andaz se
jis tarah taza lahu chamke nai talwar par
sang-dil ahbab ke daman mein ruswai ke phul
main ne dekha hai naya manzar faraaz-e-dar par
ab koi tohmat bhi wajh-e-karb-e-ruswai nahin
zindagi ek umr se chup hai tere israr par
main sar-e-maqtal hadis-e-zindagi kahta raha
ungliyan uThti rahin 'mohsin' mere kirdar par
(2319) Peoples Rate This