KHumar-e-mausam-e-KHushbu Had-e-chaman Mein Khula
KHumar-e-mausam-e-KHushbu had-e-chaman mein khula
meri ghazal ka KHazana tere badan mein khula
tum us ka husn kabhi us ki bazm mein dekho
ki mahtab sada shab ke pairahan mein khula
ajab nasha tha magar us ki baKHshish-e-lab mein
ki yun to hum se bhi kya kya na wo suKHan mein khula
na puchh pahli mulaqat mein mizaj us ka
wo rang rang mein simTa kiran kiran mein khula
badan ki chap nigah ki zaban bhi hoti hai
ye bhed hum pe magar us ki anjuman mein khula
ki jaise abr hawa ki girah se khul jae
safar ki sham mera mehrban thakan mein khula
kahun main kis se nishani thi kis masiha ki
wo ek zaKHm ki 'mohsin' mere kafan mein khula
(2313) Peoples Rate This