Jugnu Guhar Charagh Ujale To De Gaya
jugnu guhar charagh ujale to de gaya
wo KHud ko DhunDne ke hawale to de gaya
ab is se baDh ke kya ho wirasat faqir ki
bachchon ko apni bhik ke pyale to de gaya
ab meri soch sae ki surat hai us ke gird
main bujh ke apne chand ko haale to de gaya
shayad ki fasl-e-sang-zani kuchh qarib hai
wo khelne ko barf ke gale to de gaya
ahl-e-talab pe us ke liye farz hai dua
KHairaat mein wo chand niwale to de gaya
'mohsin' use qaba ki zarurat na thi magar
duniya ko roz-o-shab ke doshaale to de gaya
(2343) Peoples Rate This