Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_aa7313811b9f24fda5c007d32182a17f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Azab-e-did Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke - Mohsin Naqvi Poetry In English - Darsaal

Azab-e-did Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke

azab-e-did mein aankhen lahu lahu kar ke

main sharmsar hua teri justuju kar ke

khanDar ki tah se burida-badan saron ke siwa

mila na kuchh bhi KHazanon ki aarzu kar ke

suna hai shahar mein zaKHmi dilon ka mela hai

chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke

masafat-e-shab-e-hijran ke baad bhed khula

hawa dukhi hai charaghon ki aabru kar ke

zamin ki pyas usi ke lahu ko chaT gai

wo KHush hua tha samundar ko aabju kar ke

ye kis ne hum se lahu ka KHiraj phir manga

abhi to soe the maqtal ko surKH-ru kar ke

julus-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai

nishan-e-tauq-e-wafa zinat-e-gulu kar ke

ujaD rut ko gulabi banae rakhti hai

hamari aankh teri did se wuzu kar ke

koi to habs-e-hawa se ye puchhta 'mohsin'

mila hai kya use kaliyon ko be-numu kar ke

(2858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azab-e-did Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Azab-e-did Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Azab-e-did Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Azab-e-did Mein Aankhen Lahu Lahu Kar Ke in PDF.