Ashk Apna Ki Tumhaara Nahin Dekha Jata
ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata
abr ki zad mein sitara nahin dekha jata
apni shah-e-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak
zer-e-KHanjar koi pyara nahin dekha jata
mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-mani
Dubta ho to sahaara nahin dekha jata
tere chehre ki kashish thi ki palaT kar dekha
warna suraj to dobara nahin dekha jata
aag ki zid pe na ja phir se bhaDak sakti hai
rakh ki tah mein sharara nahin dekha jata
zaKHm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale
ab to abru ka ishaara nahin dekha jata
kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin'
dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jata
(4574) Peoples Rate This