Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-e-ziyan Hona Hi Tha
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna
barg-e-gul ko KHak shoale ko dhuan hona hi tha
jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar
ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha
mujh ko rukna tha use jaana tha agle moD tak
faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha
chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath
moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha
main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada
meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha
shahr se bahar ki virani basana thi mujhe
apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha
apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-KHak mein
ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha
be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere
main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha
(2640) Peoples Rate This