Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka ZaKHm
aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zaKHm
aap kya soch sakenge meri tanhai ko
main to dam toD raha tha magar afsurda hayat
KHud chali aai meri hausla-afzai ko
lazzat-e-gham ke siwa teri nigahon ke baghair
kaun samjha hai mere zaKHm ki gahrai ko
main baDhaunga teri shohrat-e-KHush-bu ka nikhaar
tu dua de mere afsana-e-ruswai ko
wo to yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gai
warna main bhul gaya tha teri angDai ko
(3089) Peoples Rate This