Sada-kar
sunne walon ko dhaDakti hui tanhai mein
kaun dar aata hai chupke se tamanna ban kar
kis ki aawaz hawaon ki subuk lahron par
raqs karti nazar aati hai tamasha ban kar
kaun lafzon ko ata karta hai taswir ka husn
kaun dil mein utar aata hai masiha ban kar
kis ki dhaDkan mein hai kirdaron ke dil ki dhaDkan
kaun ubhar aata hai mahtab ka haala ban kar
kitne zehnon ke ufuq kitne dilon ke aflak
tirgi mein bhi farozan hain ujala ban kar
kitne an-jaanon ki taskin-e-samaat ke liye
apni aawaz ke jadu se ye ras gholte hain
sarsaraate hue lamhon ki subuk-raftari
kah rahi hai ki ye tufanon mein par taulte hain
koi bhi rup ho bahrup badal kar ye log
pech-dar-pech fasanon ki girah kholte hain
wo shanshah ho ki daryuza-gar-e-rah-e-hayat
apne kirdar ke ausaf liye
(861) Peoples Rate This