Qurb
tamam shab mere kamre ki zard khiDki par
kabhi hawaon ke jhonkon ne aa ke dastak di
kabhi dhaDakti hui tirgi ne sar paTKHa
kabhi simaTti bikharti si sard bundon ne
KHamosh shishe ki diwar se gale mil kar
wo ek baat ba-andaz-e-mahramana kahi
jo main ne shab ki mahakti hui KHamoshi mein
rafiq-e-rah-e-mohabbat se walehana kahi
wo raat jis mein sar-e-dasht aasman baadal
khanakte motiyon ki dil-nawaz rimjhim mein
zamin ki tishna dahani ke raaz khol gaya
shafaq ke rang muradon ki shab mein ghol gaya
phir aaj raat falak par tana hai KHema-e-abr
barasti bundon se raushan hain zehn mein shamen
chhaton pe nachti phirti hain be-zaban pariyan
lahu mein raqs-kunan hai tamazat-e-KHurshid
KHumar-e-qurb-e-dil-ara ki ho gai taid
larazti bundon ke ye jaan-gudaz shish-mahal
khule hue hain kisi dard-ashna ke liye
taras rahe hain kisi jashn-e-be-sada ke liye
dayar-e-shab mein baDi der se udas hun main
nazar uTha ke mujhe dekh tere pas hun main
(800) Peoples Rate This