Zalzalon Ne Kiya Yun Shahr Ko Mismar Ki Bas
zalzalon ne kiya yun shahr ko mismar ki bas
chiKH uThe KHauf se baam-o-dar-o-diwar ki bas
barishen le gai hain sara asasa mera
mehrban itna hua abr-e-guhar-bar ki bas
ab kisi dil mein nahin mimbar-o-mehrab ka KHabt
aise badnam hue jubba-o-dastar ki bas
itni mai bhi na mili honT zara tar karte
apni taqdir pe wo roe hain mai-KHwar ki bas
shahr-e-taKHrib mein kya KHwahish tamir karen
aise taraj hue kucha-o-bazar ki bas
ab ke KHurshid ne barsai hai wo tariki
sar-barahna nikal aai hai shab-e-tar ki bas
zulm wo zulm ajal DhunDhti phirti hai panah
sabr wo sabr ki sharminda hai aazar ki bas
yar-o-aghyar ne dekha hai tajjub se bahut
'mohsin'-ehsan pe thi wo tiron ki bauchhaar ki bas
(659) Peoples Rate This