Thirakti Lau Ki Bas Ek AaKHiri Dua Sunta
thirakti lau ki bas ek aaKHiri dua sunta
phir us ke baad na kuchh mauja-e-hawa sunta
mujhe bhi lagti kuchh aasan manzil-e-dushwar
jo dusron ki sada-e-naqush-e-pa sunta
kuchh is qadar bhi zamane mein qaht-e-harf na tha
wo aashna tha to aawaz-e-ashna sunta
ba-juz zaKHira-e-auham pas kuchh bhi nahin
ye baat kash wo girwida-e-ana sunta
use pukar chuka zindagi mein haar chuka
mera KHuda tha to phir meri iltija sunta
hum ek umr se 'mohsin' KHumar-e-KHwab mein hain
hamari baat zamane mein koi kya sunta
(817) Peoples Rate This