Shahr Ka Shahr LuTera Hai Nazar Mein Rakhiye
shahr ka shahr luTera hai nazar mein rakhiye
ab mata-e-gham-e-jaanan bhi na ghar mein rakhiye
kya KHabar kaun se raste mein wo rahzan mil jae
apna saya bhi na ab sath safar mein rakhiye
ab kahin se na KHaridar-e-wafa aaega
ab koi jins na bazar-e-hunar mein rakhiye
sar-e-diwar wo KHurshid-ba-kaf aaya hai
ab charagh-e-dil-o-jaan rahguzar mein rakhiye
shoala-e-dard liye dil-zadagan nikle hain
ab koi aag nai barq-o-sharar mein rakhiye
chashma-e-chashm pe 'mohsin' wo nahane aaya
ab sada us ko isi dida-e-tar mein rakhiye
(1374) Peoples Rate This