Sar Pe Tegh-e-be-aman Hathon Mein Pyala Zahr Ka
sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka
kis tarah honTon pe laun haal apne shahr ka
bah rahe hain paniyon mein ghar safinon ki tarah
sahilon se is tarah uchhla hai pani nahr ka
us badan par ab qaba-e-shaharyari tang hai
jis ne chhina hai kafan tak har gharib-e-shahr ka
rang aankhon mein ajab qaus-e-quzah ke ghul gae
didani hai mauj mein aana lahu ki lahr ka
dushmani ki mai to chhalki hai bahut 'mohsin' magar
zaiqa kuchh aur hi hai dosti ke zahr ka
(691) Peoples Rate This