Sahar Se Ek Kiran Ki Faqat Talab Thi Mujhe
sahar se ek kiran ki faqat talab thi mujhe
tamam raat magar bekali ghazab thi mujhe
kanar-e-sham pe surKHi shafaq ki dauD gai
lahu ugalne ki yun aarzu bhi kab thi mujhe
pate ki ek na kahi subh ke ujalon mein
ye aur baat ki azbar hadis-e-shab thi mujhe
main teri ruh ki pahnai mein utar na saka
ki tujh se sirf tamanna-e-lab-ba-lab thi mujhe
main KHud hi bazm bhi aur KHud hi bazm-ara bhi
ki nagawar har ek mahfil-e-tarab thi mujhe
main apne waqt ka suqraat to nahin lekin
jahan pe baat chhiDi phir wahin pe shab thi mujhe
main apni zat ke andar kabhi na jhank saka
ye aur baat ki ye aarzu bhi kab thi mujhe
fasil-e-shab se koi ab pukarta hai to kya
mila na ek bhi us din talash jab thi mujhe
shikayat-e-shab-e-hijran kabhi na ki 'mohsin'
hikayat-e-gham-e-dil warna yaad sab thi mujhe
(667) Peoples Rate This