Safar Mein Yaad Na Aae Koi Thikana Hamein
safar mein yaad na aae koi Thikana hamein
gham-e-zamana laga aisa taziyana hamein
amir-e-shahr ne kaghaz ki kashtiyan de kar
samundaron ke safar par kiya rawana hamein
jahan se sath zamane ko le ke chalna tha
wahin pe chhoD gai gardish-e-zamana hamein
har ek samt khaDi hain buland diwaren
tamam shahr nazar aae qaid-KHana hamein
muluk-e-ham-nafasan dekh kar ye dhyan aaya
ki kash phir mile dushman wahi purana hamein
hawa-e-subh-e-dil-azar itni tez na chal
charagh-e-sham-e-ghariban hain hum bujha na hamein
nigah paDti hai phir kyun parai shamon par
agar aziz hai 'mohsin' charagh-e-KHana hamein
(2405) Peoples Rate This