Sae Ki Ummid Thi Tarikiyan Phaila Gaya
sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya
jo shajar phuTa zamin se bij hi ko kha gaya
kya gila tujh se ki gulshan ka muqaddar hai yahi
abr ghir kar jab bhi aaya aag hi barsa gaya
ab kinaron se na mange qatre qatre ka hisab
kyun samundar ki taraf bahta hua dariya gaya
meri sairabi bhi meri tishnagi se kam na thi
main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya
husn ke hamrah chalta tha julusi-e-tishnagan
ishq tanha dahr mein aaya tha aur tanha gaya
'mohsin'-ehsan kisi baadal ka TukDa hai ki jo
ek lamhe ke liye aaya ghira barsa gaya
(679) Peoples Rate This