Saba Mein Tha Na Dil-awezi-e-bahaar Mein Tha
saba mein tha na dil-awezi-e-bahaar mein tha
wo ek ishaara ki is chashm-e-waza-dar mein tha
guzar kuchh aur bhi aahista ai nigar-e-visal
ki ek umr se main tere intizar mein tha
hawa-e-dahr ki zad mein bhi aa ke bujh na saki
bala ka hausla ek sham-e-rahguzar mein tha
hum apni dhan mein chale aae jaanib-e-manzil
palaT ke dekha to ek karwan ghubar mein tha
mila to phul khil uTThe the shaKH-e-mizhgan par
juda hua to lahu chashm-e-ashk-bar mein tha
tujhe pukar ke chup ho gae hain diwane
bas ek nara-e-mastana iKHtiyar mein tha
ab ek kiran bhi nahin nim-wa dariche mein
KHusha wo din ki koi mere intizar mein tha
hawa-e-kam-nigahi ne bujha diya warna
mein wo charagh ki raushan harim-e-yar mein tha
teri nigah se ojhal sahi magar 'mohsin'
KHizan ka aks bhi aaina-e-bahaar mein tha
(744) Peoples Rate This