Raushniyan Badan Badan Tere Mere Lahu Se Hain
raushniyan badan badan tere mere lahu se hain
lams ki sari lazzaten jism ki haw-hu se hain
qurbat-e-roz-roz mein ranjishen itni baDh gain
wo bhi gurez-pa se hain hum bhi bahana-ju se hain
Dar hai ki sham-e-hijr mein dil ka diya bujha na den
ab ke hawa ki sazishen shola-e-arzu se hain
jitne KHizan ke Dhang hain jitne faza mein rang hain
mere hi KHar-o-KHas se hain mere hi rang-o-bu se hain
meri mata-e-zindagi KHwahish-e-zaKHm hi to hai
mere junun ke silsile lazzat-e-justuju se hain
KHush hain ki lauT aae hain sare musafiran-e-gham
garche ye surKH-ru nahin phir bhi ye surKH-ru se hain
jis ke kamal-e-tanz se shahr sarapa zaKHm hai
us ko sabhi shikayaten mohsin-e-qand-KHu se hain
(662) Peoples Rate This