Nigar-e-fan Pe Harifan-e-sher Ki Yalghaar
nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar
niyam-e-harf kahan hai KHayal ki talwar
rahin-e-marg-e-tamanna thi kaamrani-e-wasl
jhulas gaya hai mujhe qurb-e-shoala-e-ruKHsar
hawa kuchh aisi chali dasht-e-na-muradi se
ujaD ke bas na sake phir kabhi dilon ke dayar
kaDakti dhup mein ab aur kis jagah baiThun
simaT ke ban gaya diwar saya-e-diwar
jala gai hai meri aag pairahan mera
main kya gila karun tujh se charagh-e-mahfil-e-yar
zara rasai-e-manzil-gah-e-murad to dekh
chale the shahr-e-wafa se pahunch gae sar-e-dar
ye kis ne sard gulistan ka zikr chheDa hai
nikhar chala hai nigahon mein paikar-e-qad-e-yar
ye kis jazira-e-be-rang-o-bu mein baste hain
na tairan-e-ajam hain na aahuwan-e-tatar
ye kaun guzra hai 'mohsin' KHaraba-e-dil se
ki uD raha hai har ek samt hasraton ka ghubar
(679) Peoples Rate This