Mila Bhi Kya Use Tauhin-e-rang-o-bu Kar Ke
mila bhi kya use tauhin-e-rang-o-bu kar ke
gaya chaman se chaman ko jo be-numu kar ke
the KHush-guman ki kisi KHush-suKHan se wasta hai
bahut malal hua us se guftugu kar ke
thi sare shahr ko bimari-e-giran-goshi
so chup watira kiya hum ne haw-hu kar ke
hamari subhon ke bai-name likhne walon ne
hamein siyah kiya KHud ko surKH-ru kar ke
sagan-e-kucha-o-bazar se raho hushiyar
rihai dete hain 'mohsin' lahu lahu kar ke
(666) Peoples Rate This