Mere Wajud Ke DozaKH Ko Sard Kar Dega
mere wajud ke dozaKH ko sard kar dega
agar wo abr-e-karam hai to khul ke barsega
gila na kar ki hai aaghaz-e-shab abhi pyare
Dhalegi raat to ye dard aur chamkega
qadah ki KHair sunao ki ab ke barish-e-sang
agar hui to tarab-zar-e-shab bhi Dubega
ye shahr-e-kam-nazaran hai idhar na kar aankhen
yahan ishaara-e-mizhgan koi na samjhega
main us badan mein utar jaunga nashe ki tarah
wo ek bar agar phir palaT ke dekhega
rawan to hun su-e-aflak-e-arzu lekin
ye zor-e-mauj-e-hawa bazuon ko toDega
agar hai shauq-e-asiri to mund le aankhen
tu umr bhar dar-o-diwar bhi na dekhega
talash-e-qafila-e-zindagi hai ab be-sud
ye rah-guzar-e-nafas par kahin na Thahrega
na aankh mein koi jumbish na panw par koi gard
jahan se itna bhi mohtat kaun guzrega
rahegi dil mein na jab koi bhi KHalish 'mohsin'
bhula chuka hai jise tu use pukarega
(675) Peoples Rate This