Maut Se Yari Na Thi Hasti Se Be-zari Na Thi
maut se yari na thi hasti se be-zari na thi
us safar par chal diye hum jis ki tayyari na thi
hum usi ki KHak se uTThe hain kundan ban ke aaj
dosto jis shahar mein rasm-e-wafadari na thi
hum ne KHun-e-arzu de kar munaqqash kar diya
warna diwar-e-talab par aisi gul-kari na thi
mar gae sar phoD ke diwar-e-zindan se asir
zindagi kunj-e-qafas mein maut se pyari na thi
ab shikast-e-arzu hai bais-e-taskin-e-dil
is se pahle to kabhi ye kaifiyat tari na thi
jal raha hai har nafs ab apne gham ki aanch se
sans lene mein kabhi 'mohsin' ye dushwari na thi
(954) Peoples Rate This