Main Ek Umr Ke Baad Aaj KHud Ko Samjha Hun
main ek umr ke baad aaj KHud ko samjha hun
agar rukun to kinara chalun to dariya hun
jo lab-kusha hun to hangama-e-bahaar hun main
agar KHamosh rahun to sukut-e-sahra hun
tujhe KHabar bhi hai kuchh ai masarraton ke naqib
main kab se saya-e-diwar-e-gham mein baiTha hun
jhulas gai hai hawa-e-dayar-e-dard mujhe
bas ek pal ke liye shahr-e-gham mein Thahra hun
meri KHudi mein nihan hai mere KHuda ka wajud
KHuda ko bhul gaya jab se KHud ko samjha hun
main apne panw ka kanTa main apne gham ka asir
misal-e-sang-e-garan raste mein baiTha hun
bulandiyon se meri samt dekhne wale
mere qarib to aa main bhi ek duniya hun
agar hai maqtal jaanan ka ruKH to ai 'mohsin'
zara Thahar ki tere sath main bhi chalta hun
(726) Peoples Rate This