Kisi Ke Samne Izhaar-e-dard-e-jaan Na Karun
kisi ke samne izhaar-e-dard-e-jaan na karun
udhar udhar ki kahun zaKHm-e-dil ayan na karun
laga ke aag badan mein wo mujh se chahta hai
ki sans lun to faza ko dhuan dhuan na karun
main us ko paDhta hun injil-e-arzu ki tarah
samajh mein aae to mani har ek bayan na karun
ghazab hai mujh se tawaqqo zamana rakhta hai
ki pa-shikastagi mein ranj-e-raftagan na karun
ye hukm mujh ko mila qasr-e-KHusrawi se ki main
fughan sunun magar andaza-e-fughan na karun
maze se soun agar hath aae sham-e-firaq
main ek lamha bhi is shab ka raegan na karun
uTha ke sar pe phirun bar-e-arzu 'mohsin'
kamar ko KHam main kabhi surat-e-kaman na karun
(771) Peoples Rate This