Kis Etimad Se Ilzam Dhar Gae Apne
kis e'timad se ilzam dhar gae apne
hamare nam ko badnam kar gae apne
ab un ke naqsh-e-qadam raston mein kya DhunDen
parai manzilon ko ham-safar gae apne
bahaar ne kiya mansuba-e-hina-bandi
manao jashn ki sab zaKHm bhar gae apne
phir us ke baad faqat main tha mera saya tha
jo dasht dasht the ham-rah ghar gae apne
jab ek mir bhi ham-sae mein mere roya
to ye guman hua diwar-o-dar gae apne
hamein adu se ho 'mohsin' gila to kyunkar ho
hamare shahr ko viran kar gae apne
(632) Peoples Rate This