Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eccbef0b1009901870835ba6e343a503, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khuli Aankhon Se Sapna Dekhne Mein - Mohsin Ehsan Poetry In English - Darsaal

Khuli Aankhon Se Sapna Dekhne Mein

khuli aankhon se sapna dekhne mein

ganwa di umr rasta dekhne mein

baha kar le gai ek mauj-e-dariya

bahut the mahw dariya dekhne mein

hawa kucha-ba-kucha ro rahi hai

saja hai qarya qarya dekhne mein

jo barten to khulen sab bhed us ke

hasin lagti hai duniya dekhne mein

darichon se ye dil-awez manzar

bure lagte hain tanha dekhne mein

nikal aata hai kaDwa zaiqe mein

jo phal hota hai miTha dekhne mein

haqiqat mein wo aisa to nahin hai

nazar aata hai jaisa dekhne mein

azab-e-gumrahi mein mubtala hain

bhaTak jate hain rasta dekhne mein

qaza aksar namazen ho gai hain

nishan-e-samt-e-qibla dekhne mein

hum ehram-e-hawas pahne hue hain

labaada hai ye ujla dekhne mein

wahin aksar shanawar Dubte hain

jo hain payab dariya dekhne mein

yahi hai laghzish-e-binai 'mohsin'

ki ho mashghul duniya dekhne mein

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khuli Aankhon Se Sapna Dekhne Mein In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Khuli Aankhon Se Sapna Dekhne Mein is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Khuli Aankhon Se Sapna Dekhne Mein for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Khuli Aankhon Se Sapna Dekhne Mein in PDF.