KHud Se Na-KHush Ghair Se Be-zar Hona Tha Hue

KHud se na-KHush ghair se be-zar hona tha hue

hum ko gard-e-kucha-o-bazar hona tha hue

jin ki sari zindagi darbar-dari mein kaTi

un ko ruswa bar-sar-e-darbar hona tha hue

hum mein kuchh rindan-e-KHush-auqat aise the jinhen

ja-nashin-e-jubba-o-dastar hona tha hue

hum kabhi shamshir-e-jauhar-dar the lekin hamein

dast-e-nahanjar mein talwar hona tha hue

apna ghar ji khol kar taraj karna tha kiya

apne hathon KHud hamein mismar hona tha hue

jin ko sari zindagi zom-e-masihai raha

un ko aaKHir ek din bimar hona tha hue

tum sar-e-sahil Dubo baiThe ho 'mohsin' kashtiyan

jin safinon ko samundar par hona tha hue

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Se Na-KHush Ghair Se Be-zar Hona Tha Hue In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. KHud Se Na-KHush Ghair Se Be-zar Hona Tha Hue is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem KHud Se Na-KHush Ghair Se Be-zar Hona Tha Hue for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download KHud Se Na-KHush Ghair Se Be-zar Hona Tha Hue in PDF.