KHud Apni Zat Ki Tashhir Ku-ba-ku Kiye Jaen

KHud apni zat ki tashhir ku-ba-ku kiye jaen

KHuda mile na mile us ki justuju kiye jaen

ajib jari hua ab ke hukm-e-hakim-e-shahr

asir sare taraf-dar-e-rang-o-bu kiye jaen

hamein pasand nahin zarf-e-mai mein qatra-e-mai

hamare samne KHali KHum-o-subu kiye jaen

jahan bhi aaen nazar chaak chaak daman-e-dil

wo tar pairahan-e-ishq se rafu kiye jaen

kuchh ab ke aise paDa saya-e-tunuk-zarfi

samundaron ko bhi hum log aabju kiye jaen

KHizan ne jin ke muqaddar mein zardiyan likh din

hum un gulab-ruton ko bhi surKH-ru kiye jaen

janab-e-'mohsin'-e-ehsan se iltija hai ki wo

pahunch gae hain sar-e-ab to wuzu kiye jaen

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apni Zat Ki Tashhir Ku-ba-ku Kiye Jaen In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. KHud Apni Zat Ki Tashhir Ku-ba-ku Kiye Jaen is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem KHud Apni Zat Ki Tashhir Ku-ba-ku Kiye Jaen for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download KHud Apni Zat Ki Tashhir Ku-ba-ku Kiye Jaen in PDF.