KHud Apne Aap Se Ye Gila Umr Bhar Kiya
KHud apne aap se ye gila umr bhar kiya
kaise tere firaq ka mausam basar kiya
minqar se hawa ne likhi dastan-e-hijr
yun harf-e-mo'tabar ko bhi na-mo'tabar kiya
kaisi hawa chali ki man barishon ke baad
har be-gulab rut ne gulistan mein ghar kiya
KHud hum ne kaT kaT di zanjir sans ki
KHud hum ne zindagi ka safar muKHtasar kiya
be-ab aainon ko bhi ek aab baKHsh di
har chand be-hunar the ye kar-e-hunar kiya
sare sutun ret ki buniyaad par uThae
hum ne kis ehtiyat se tamir ghar kiya
duniya simaT ke ek hi nukte mein aa gai
hum ne jab apni zat ke andar safar kiya
tha mir ji ko izzat-e-sadat ka KHayal
hum ne suKHan ko jins-e-dukan-e-hunar kiya
mauqa-shanas qasr-e-hawas mein pahunch gae
tai marhala uDan ka be-baal-o-par kiya
KHushbu mere badan se KHud aa kar lipaT gai
'mohsin' ye kis dayar se main ne guzar kiya
(682) Peoples Rate This