Kaise Kahen Dar-ba-dar Nahin Hum
kaise kahen dar-ba-dar nahin hum
ghar mein bhi hain aur ghar nahin hum
jo rah mein sath chhoD jaen
aison ke to ham-safar nahin hum
apnon ki koi KHabar na rakkhen
itne bhi to be-KHabar nahin hum
uTh jae kab apna aab-o-dana
insan hain koi KHizar nahin hum
dekhen na uTha ke aankh us ko
aise bhi to kam-nazar nahin hum
sach hai ki KHuda ke ru-ba-ru bhi
sharminda KHataon par nahin hum
har an-kahi baat sun rahe hain
diwar hain koi dar nahin hum
(607) Peoples Rate This