Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_35a934123b696599c2ecde423de1270d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Bhi Zinda Hain Ajab Kawish-e-izhaar Ke Sath - Mohsin Ehsan Poetry In English - Darsaal

Hum Bhi Zinda Hain Ajab Kawish-e-izhaar Ke Sath

hum bhi zinda hain ajab kawish-e-izhaar ke sath

guftugu karte hain ghar ke dar-o-diwar ke sath

hum ne aise bhi faqihan-e-haram dekhe hain

bech dete hain fazilat bhi jo dastar ke sath

hairati hun wo musalman ko musalman karne

sar-e-bazar nikal aate hain do-chaar ke sath

kya zarurat hai unhen manzar-o-pas-manzar ki

jo kahani hi badal dete hain kirdar ke sath

aise KHurshid ki bhi hum ne pazirai ki

jo dam-e-subh nikalta hai shab-e-tar ke sath

chiz dukkan se uTha kar wahin rakh deta hun

rose ye hota hai mujh aise KHaridar ke sath

'mohsin'-ehsan mashaqqat ki bhi had hoti hai

tum to mar jaoge bar-e-gham-e-dil-dar ke sath

(603) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Bhi Zinda Hain Ajab Kawish-e-izhaar Ke Sath In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Hum Bhi Zinda Hain Ajab Kawish-e-izhaar Ke Sath is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Hum Bhi Zinda Hain Ajab Kawish-e-izhaar Ke Sath for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Hum Bhi Zinda Hain Ajab Kawish-e-izhaar Ke Sath in PDF.