Hawa-o-hirs Ki Duniya Mein Dar-ba-dar Hue Hum
hawa-o-hirs ki duniya mein dar-ba-dar hue hum
KHabar jahan ki rakhi KHud se be-KHabar hue hum
qafas mein the to par-o-baal the sharik-e-malal
chaman mein aae to mahrum-e-baal-o-par hue hum
kanara-gir tamashaiyon se kaisa gila
har ek mauja-e-tufan ke ham-safar hue hum
hamare hausle ki dad to adu ne bhi di
chale hain nawak-e-dushnam to sipar hue hum
wo jis safar mein murad-e-safar yaqini thi
usi safar pe na aamada-e-safar hue hum
hamari manzilat-o-qadr apne fan se hai
hunar-shanas hue hum to mo'atabar hue hum
hamare pas hai 'mohsin' mata-e-hairani
wo intizar raha hai ki chashm-e-dar hue hum
(647) Peoples Rate This