Hausla Tu Ne Diya Dukh Ki Pazirai Ka
hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka
mujh ko andaza na tha zaKHm ki gahrai ka
KHushbuen phul se ab izn safar mangti hain
is qadar qaht paDa shahr mein goyai ka
ab nigahon mein na manzar hai na pas-manzar hai
ek ilzam in aankhon pe hai binai ka
sar-e-dahliz pareshan-o-sarasima hun
dar muqaffal hua mujh par meri tanhai ka
silsile TuT chuke sare mohabbat ke magar
sur se ek rabt hai qaem abhi shahnai ka
is qadar jhuT racha hai rag-o-pai mein 'mohsin'
chehra ab masKH nazar aata hai sachchai ka
(1245) Peoples Rate This