Gum Is Qadar Hue Aaina-e-jamal Mein Hum
gum is qadar hue aaina-e-jamal mein hum
usi ko DhunDte hain us ke KHadd-o-KHal mein hum
jawaz-e-sust-KHirami talash karte hain
kis ehtimam se raftar-e-mah-o-sal mein hum
zamane hum teri har kaj-rawi ko jaante hain
isi liye kabhi aae na teri chaal mein hum
jahan pe tujh se bichhaDna bahut zaruri tha
usi jagah pe khaDe hain tere KHayal mein hum
tayyun-e-safar-o-samt se hain begana
chale junub ko the aa gae shumal mein hum
shikasta aaina hain hum ko reza reza uTha
ki chur chur hue dil ki dekh-bhaal mein hum
(695) Peoples Rate This