Faqat Kaghaz Pe Likha Bar-e-aziyat Utra
faqat kaghaz pe likha bar-e-aziyat utra
jab ghazal kah li to zangar-e-tabiat utra
bhuk se marte rahe KHema-e-aflas mein log
aasman se na magar KHwancha-e-nemat utra
man ne tawiz bhi bandha mere bazu pe magar
phir bhi sar se na ye sauda-e-mohabbat utra
dil-sarae mein tamannaen hain sar nehuDae
kaun basti mein wo mehman-e-masarrat utra
apne qad ki use pahchan bahut mushkil thi
sar se jab turra-e-dastar-e-fazilat utra
main na gham-KHwar-e-shahansha na talab-gar-e-kul
mujh pe kis waste aashob-e-qayamat utra
banu-e-shahr-e-adab ke liye is ahd mein harf
kitna be-maya-o-mahrum-e-sadaqat utra
sar ki faslon ko bacha le gae sab log magar
ek 'mohsin' sar-e-maidan-e-hilakat utra
(674) Peoples Rate This