Dukhon Ke Dasht Ghamon Ke Nagar Mein ChhoD Aae

dukhon ke dasht ghamon ke nagar mein chhoD aae

wo ham-safar ki jinhen ham-safar mein chhoD aae

bahut jamil si yaadon ko sath le aae

bahut malul se chehron ko ghar mein chhoD aae

baDe qarine se hum aa gae kinare par

baDe saliqe se kashti bhanwar mein chhoD aae

kis ehtimam se ab tak pukarti hain hamein

wo chahaten jinhen diwar-o-dar mein chhoD aae

bahut ajib the wo log jo dam-e-ruKHsat

kai kahaniyan us chashm-e-tar mein chhoD aae

na din hi phirte hain 'mohsin' na shab badalti hai

watan ko kaun se sham-o-sahar mein chhoD aae

(578) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukhon Ke Dasht Ghamon Ke Nagar Mein ChhoD Aae In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Dukhon Ke Dasht Ghamon Ke Nagar Mein ChhoD Aae is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Dukhon Ke Dasht Ghamon Ke Nagar Mein ChhoD Aae for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Dukhon Ke Dasht Ghamon Ke Nagar Mein ChhoD Aae in PDF.