Bujha Ke Rakh De Ye Koshish Bahut Hawa Ki Thi
bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi
magar charagh mein kuchh raushni ana ki thi
meri shikast mein kya kya the muzmaraat na puchh
adu ka hath tha aur chaal aashna ki thi
faqih-e-shahr ne be-zar kar diya warna
dilon mein qadr bahut KHana-e-KHuda ki thi
abhi se tum ne dhuan-dar kar diya mahaul
abhi to sans hi lene ki ibtida ki thi
shikast wo thi ki jab meri sar-bulandi ki
mere adu ne mere waste dua ki thi
hum ab ghubar-e-mah-o-sal ki lapeT mein hain
hamare chehre pe raunaq kabhi bala ki thi
(913) Peoples Rate This