Asir-e-halqa-e-zanjir-e-jaan Hua Hai Ye Dil
asir-e-halqa-e-zanjir-e-jaan hua hai ye dil
kisi pe rona kahan mehrban hua hai ye dil
ek iztirab-e-musalsal mein kaT rahi hai hayat
shikar-e-sazish-e-sud-o-ziyan hua hai ye dil
jabin ba-KHak nahum chashm bar-sitara-e-subh
kabhi zamin kabhi aasman hua hai ye dil
bahut dinon se thi maddham charagh-e-dard ki lau
KHud apni aanch se shoala-ba-jaan hua hai ye dil
KHumar-e-hijr tha aisa ukhaD gain sansen
giraft-e-dard thi aisi fughan hua hai ye dil
jahan ne dekha nahin aisa girya-o-matam
jab apni maut pe nauha-kunan hua hai ye dil
hamara kya hai ki bas hum hain ek musht-e-ghubar
khuli faza jo mili pur-fishan hua hai ye dil
ajab qayam-o-safar ka hai marhala 'mohsin'
Thahar gai hai nazar to rawan hua hai ye dil
(624) Peoples Rate This