Aql Kahti Hai Koi DhunD Mafar Ki Surat
aql kahti hai koi DhunD mafar ki surat
dil ye kahta hai badal jaegi ghar ki surat
kaun raste mein inhen chhoD ke ja sakta hai
KHwahishen hoti hain saman-e-safar ki surat
aadmi tash ke patte hain tere hathon mein
ai KHuda tu bhi to hai shobada-gar ki surat
meri tar-damani-e-chashm pe yun tanz na kar
main sadaf hun tu mera dil hai guhar ki surat
apni hi zat ka ek daera bun rakkha hai
apni gardish mein hain hum log bhanwar ki surat
jaane kis samt ye shorida-sari le jae
zad mein aandhi ki hun TuTe hue par ki surat
kaun aaya sar-e-sahra-e-mohabbat 'mohsin'
zarra zarra mahak uTTha gul-e-tar ki surat
(759) Peoples Rate This