Aankh Tishna Bhi Nahin HonT Sawali Bhi Nahin

aankh tishna bhi nahin honT sawali bhi nahin

ye surahi ki bhari bhi nahin KHali bhi nahin

hum saKHi dirham-o-dinar liye phirte hain

shahr-e-nadar mein ab koi sawali bhi nahin

kyun girane ke liye darpai aazar hain log

hum ne buniyaad makan ki abhi Dali bhi nahin

aisi makruh kahani ki ye taswir hai jo

sunne wali bhi nahin dekhne wali bhi nahin

'mohsin'-ehsan ka hai andaz-e-junun sab se alag

ye jalali bhi nahin hai ye jamali bhi nahin

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Tishna Bhi Nahin HonT Sawali Bhi Nahin In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Aankh Tishna Bhi Nahin HonT Sawali Bhi Nahin is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Aankh Tishna Bhi Nahin HonT Sawali Bhi Nahin for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Aankh Tishna Bhi Nahin HonT Sawali Bhi Nahin in PDF.