Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbb770afb074fe1fd11964e36e6d29e9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhen Khulin Ki Wa Dar-e-zindan Ho Gaya - Mohsin Changezi Poetry In English - Darsaal

Aankhen Khulin Ki Wa Dar-e-zindan Ho Gaya

aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya

main raushni ko dekh ke hairan ho gaya

tujh se mushabahat nahin rakhta koi yahan

ab tujh ko bhulna bhi to aasan ho gaya

us ne kaha ki phul se titli uDaiye

itni si baat par main pareshan ho gaya

main KHud se mil gaya tha teri bazyaft mein

kya mujh pe tere hijr ka ehsan ho gaya

mere tamam KHwab mere dil mein rah gae

meri to sari umr ka nuqsan ho gaya

(1087) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhen Khulin Ki Wa Dar-e-zindan Ho Gaya In English By Famous Poet Mohsin Changezi. Aankhen Khulin Ki Wa Dar-e-zindan Ho Gaya is written by Mohsin Changezi. Read famous Poem Aankhen Khulin Ki Wa Dar-e-zindan Ho Gaya for youth and Student by Mohsin Changezi. Free Download Aankhen Khulin Ki Wa Dar-e-zindan Ho Gaya in PDF.