ZaKHm-KHurda To Usi Ka Tha Sipar Kya Leta
zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta
apni taKHliq se main dad-e-hunar kya leta
wo kisi aur tasalsul mein raha mahw-e-kalam
meri baaton ka bhala dil pe asar kya leta
us ko fursat hi na thi naz-e-masihai se
apne bimar ki wo KHair-KHabar kya leta
ek aawaz pe maqsum tha chalte rahna
be-tayyun tha safar raKHt-e-safar kya leta
saz-e-lab gung the be-nur thi qindil-e-nazar
aise mahaul mein ilzam-e-hunar kya leta
be-niyazana raha apni rawish par 'mohsin'
shab-paraston se bhala fal-e-sahar kya leta
(755) Peoples Rate This