Ye Tai Hua Hai Ki Qatil Ko Bhi Dua Dije
ye tai hua hai ki qatil ko bhi dua dije
KHud apna KHun baha phir bhi KHun-baha dije
niyaz-o-naz baja hain magar ye shart-e-visal
hai sang-e-rah-e-talluq ise haTa dije
suna tha hum ne ki manzil qarib aa pahunchi
kahan hain aap agar ho sake sada dije
sahar qarib sahi phir bhi kuchh baid nahin
charagh bujhne lage hain to lau baDha dije
mahakte zaKHmon ko inam-e-fasl-e-gul kahiye
sulag uThe jo chaman barq ko dua dije
kuchh is tarah hai ki guzre hain jis qayamat se
samjhiye KHwab use KHwab ko bhula dije
badal gae hain taqaze suKHan-shanasi ke
udhar ata ho idhar dad barmala dije
ye kya zarur ki ehsas ko zaban mil jae
hai hukm-e-naghma-sarai to gunguna dije
(944) Peoples Rate This