Wo Barg-e-KHushk Tha Aur Daman-e-bahaar Mein Tha
wo barg-e-KHushk tha aur daman-e-bahaar mein tha
numud-e-nau ki bashaarat ke intizar mein tha
meri rafiq-e-safar thin hasad bhari nazren
wo aasman tha aur mere iKHtiyar mein tha
bikhar gaya hai to ab dil nigar-KHana hai
ghazab ka rang us ek naqsh-e-e'tibar mein tha
ab aa gaya hai to viraniyon par tanz na kar
tera makan isi ujDe hue dayar mein tha
likhe the nam mere qatl karne walon ke
ajib baat hai main bhi isi shumar mein tha
mujhe tha zoam magar main bikhar gaya 'mohsin'
wo reza reza tha aur apne iKHtiyar mein tha
(645) Peoples Rate This