Tu Kabhi KHud Ko Be-KHabar To Kar
tu kabhi KHud ko be-KHabar to kar
apni jaanib bhi ek nazar to kar
ghalat-andaz ek nigah sahi
meri hasti ko mo'tabar to kar
waqfa-e-umr hai ki arsa-e-hashr
is masafat ko muKHtasar to kar
rahbari ka bharam bhi rakh lunga
mujh ko manus-e-rahguzar to kar
aaina aaina tera partaw
aaina aaina guzar to kar
main ne jis tarah zist kaTi hai
ek din hi sahi basar to kar
waqt koh-e-giran sahi 'mohsin'
aab-e-ju ki tarah safar to kar
(779) Peoples Rate This