Ta-der Hum Ba-dida-e-tar Dekhte Rahe
ta-der hum ba-dida-e-tar dekhte rahe
yaaden thin jis mein dafn wo ghar dekhte rahe
kya kya na e'tibar diya ek sarab ne
har-chand tishna-lab the magar dekhte rahe
suraj chaDha to phir bhi wahi log zad mein the
shab bhar jo intizar-e-sahar dekhte rahe
sehn-e-chaman ko apne lahu se sanwar kar
dast-e-hawas mein hum gul-e-tar dekhte rahe
ye dil hi jaanta hai ki kis hausle ke sath
naqadri-e-mata-e-hunar dekhte rahe
'mohsin' uruj-e-kam-nazaran saneha nahin
ye saneha hai ahl-e-nazar dekhte rahe
(945) Peoples Rate This